Madine Ke Aaqa Salamun Alaika
Madine Ke Aaqa Salamun Alaika
Kalaam of Arshad Habibi
Madine Ke Aaqa Salamun Alaika
Do Aalam Ke Shaaha Salamun Alaika.
Zameen Me Muhammad, Zamaan Me Muhammad
Makeen Me Muhammad, Makaan Me Muhammad
Har Ek Shai Me Jalwa Rasoole Khuda Ka
Salamun Alaika Salamun Alaika.
Gunahon Ne Ghera, Khataon Ne Ghera
Musibat Ne Ghera Balaon Ne Ghera
Bachalijiye Ga Bachalijiye Ga
Salamun Alaika Salamun Alaika.
Humari Bhi Qismat Banado Nabi Ji
Naseeba Jo Soya Jagado Nabi Ji
Hame Apna Rauza Dikha Dijiye Ga
Salamun Alaika Salamun Alaika.
Na Daulat Talab Hai Na Shohrat Talab Hai
Hukoomat Talab Hai Na Izzat Talab Hai
Nawason ka sadqa Ata kijiyega
Salamun Alaika Salamun Alaika.
Hoon Mohtaj Mai Aapki Ek Nazar Ka
Fida Aap Par Mere Maa Baap Aaqa
Ke Arshad Pe Nazre Karam Kijiyega
Salamun Alaika Salamun Alaika.