Aaqa Lelo Salaam Ab Hamara

Aaqa Lelo Salaam Ab Hamara

Aaqa Lelo Salaam Ab Hamara
Daata Lelo Salaam Ab Hamara
Saba Tu Madine Jaake Kehna Khudara.

Gham Se Hai Toote Hue, Zulmon Se Loote Hue
Muddat Hui Ya Nabi, Qismat Ko Roothe Hue
Rauze Mehshar Ummati Ka Aap Hi Sahara.

Chand Ke Tukde Kiye, Pedon Ne Sajde Kiye
Suraj Palat Aa Gaya, Ye Maujze Aapke
Ummati Kya Khud Khuda Hain Shaida Tumhara.

Din Raat Roti Hai Ye, Ummat Tumhare Liye
Ho Jaaye Nazre Karam, Aaqa Hamare Liye
Taiba Ki Galiyon Ka Humko Ho Ab Nazara.

Sab Ambiya Ke Imaam, Tum Par Ho Laakhon Salaam
Rauze Pe Aaye Majeed, Kehta Hai Ye Subho Shaam
Zindagi Me Aas Ka Na Toote Sitara.

More from Salaat -O- Salaam

  • Alwada Alwada Maahe Ramzan
  • Aye Deen -E- Haq Ke Rehbar
  • Aye Habeebe Ahmade Mujtaba
  • Aye Shahinshahe Madina Assalatu Wassalaam
  • Bulalo Sarkar Tum Apne Dar Par
  • Ghulam Haazir Hai Aastan Par