Qudrat Ne Aaj Apne Jalwe Dikha Diye Hain
Qudrat Ne Aaj Apne Jalwe Dikha Diye Hain
Kalaam of Syed Naseer Uddin Naseer Sahab
Qudrat Ne Aaj Apne Jalwe Dikha Diye Hain
Aamad Pe Mustafa Ke Parde Utha Diye Hain.
Ye Kaun Aaraha Hai Ye Aaj Kaun Aaya
Soye Hue Muqaddar Kisne Jaga Diye Hain.
Jab Unka Naam Lekar Mazloom Koi Roya
Zanjeer Tod Di Hai Qaidi Churda Diye Hain.
Bekas Nawaz Unsa Paida Huwa Na Hoga
Bichde Mila Diye Hain Ujde Basa Diye Hain.
Behre Karam Me Unke Uthi Jo Mauje Rehmat
Marte Bacha Liye Hain Girte Utha Diye Hain.
Shaahon Ke Dar Pe Jaana Tauheen Thi Hamari
Unki Gali Me Hamne Bistar Laga Diye Hain.
Seene Me Hoon Sajaye Yaadon Ki Ek Mehfil
Unki Lagan Ne Dil Me Mele Laga Diye Hain.
Wo Jaane Aye Naseer Ab Ya Jaane Unka Khaaliq
Ham Ne To Dil Ke Dukhde Unko Suna Diye Hain.