Aaqa Ka Milad Aaya
Aaqa Ka Milad Aaya
Kalaam of Owais Raza Quadri
Charon Taraf Noor Chaaya
Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyon Ka Paigham Laaya
Aaqa Ka Milad Aaya.
Shams -O- Qamar Aur Taare
Kyun Na Hon Khush Aaj Saare
Unse Hi To Noor Paaya
Aaqa Ka Milad Aaya.
Khusiyan Manaate Hain Wohi
Dhoomein Machate Hain Wohi
Jin Par Hua Unka Saaya
Aaqa Ka Milad Aaya.
Hai Shaad Har Ek Musalmaan
Karta Hai Ghar Ghar Charaghan
Galiyon Ko Bhi Jagmagaya
Aaqa Ka Milad Aaya.
Muqtaare Kul Maane Jo Unhe
Noori Bashar Jaane Jo Unhe
Naara Usi Ne Lagaya
Aaqa Ka Milad Aaya.
Jo Aaj Mehfil Me Aaye
Man Ki Muradein Wo Paaye
Sab Par Karam Ho Khudaya
Aaqa Ka Milad Aaya.
Ghousul Wara Aur Khwaja Ne
Mere Raza Aur Daata Ne
Sab Ne Hi Ye Din Manaya
Aaqa Ka Milad Aaya.
Jis Ko Shajar Jaante Hain
Kehna Hajar Maante Hain
Aisa Nabi Hamne Paaya
Aaqa Ka Milad Aaya.
Dil Jagmagane Lage Hain
Sab Muskurane Lage Hain
Ek Kaif Sa Aaj Chaaya
Aaqa Ka Milad Aaya.
Kar Aye Ubaid Unki Midhat
Tujhpar Khuda Ki Hai Rehmat
Tu Ne Muqaddar Ye Paaya
Aaqa Ka Milad Aaya.