Aye Baade Saba Chal Naat Suna

Aye Baade Saba Chal Naat Suna

Aye Baade Saba Chal Naat Suna
Sarkar Ki Aamad Marhaba
Purnoor Fiza Deti Hai Sada
Sarkar Ki Aamad Marhaba.

Rizwane Jinan Hairaan Hai Kyun
Aati Hai Sadaye Ghaib Yehi
Malakoot Bula Pindaal Saja
Sarkar Ki Aamad Marhaba.

Ayyub Naqabat Karte Hain
Dawood Manaqib Padhte Hain
Jibreel Zara Naara To Laga
Sarkar Ki Aamad Marhaba.

Ek Janib Hai Ghilmaan Khade
Ek Simt Qatarein Hooron  Ki
Sare Arsho Ulaa Ek Shor Utha
Sarkar Ki Aamad Marhaba.

Jab Arsh Se Farsh Tak Aane Ka
Sarkar Iraada Kar Baithe
Dharti Ne Kaha Hai Bakht Mera
Sarkar Ki Aamad Marhaba.