Aye Teergi Tu Jaa Tere Jaane Ka Waqt

Aye Teergi Tu Jaa Tere Jaane Ka Waqt

Kalaam of Bekal Utsahi Sahab

Aye Teergi Tu Jaa Tere Jaane Ka Waqt Hai
Ab Aaftabe Noor Ke Aane Ka Waqt Hai.

Dekho Naseeme Subha Ki Nazuk Khiramiyan
Jaane Sahar Ke Naaz Uthane Ka Waqt Hai.

Charkhe Bareen Se Chand Sitaaron Utar Padho
Jashne Zahoore Paak Manane Ka Waqt Hai.

Ab Tak Bahar Par The Gulo Ghuncha Sab Nisaar
Phoolon Pe Ab Bahar Lutaane Ka Waqt Hai.

Sadqa Rasoole Paak Ka Bat'ta Hai Aasiyon
Bigda Hua Naseeb Banaane Ka Waqt Hai.

Aye Jalwa Haaye Arshe Mo'alla Zameen Pe Aaj
Aao Tajalliyon Me Nahane Ka Waqt Hai.

Doobe Hue Hain Log Sabhi Wajd -O- Kaif Me
Bekal Nabi Ki Naat Sunaane Ka Waqt Hai.

More from Milad Shareef

More kalaam of Bekal Utsahi Sahab

  • Aaj Badhawa Saajan Ghar
  • Aamade Mustafa Marhaba Marhaba
  • Aamena Bibi Ke Gulshan Me
  • Aaqa Ka Milad Aaya
  • Aye Baade Saba Chal Naat Suna
  • Baara Rabbi -Ul- Awwal Ke Din