Ya Nabi Salaam Alaika  - (1)

Ya Nabi Salaam Alaika  - (1)

Ya Nabi Salam Alaika
Ya Rasool Salam Alaika
Ya Habeeb Salam Alaika
Salawa Tulla Alaika.

Faqre Aadam Faqre Hawwa
Faqre Nooh Faqre Yahiya
Faqre Ibrahim -O- Moosa
Faqre Ismail -O- Isaa.

Aapka Tashreef Laana
Waqt Bhi Kitna Suhana
Jagmaga Utha Zamana
Hoorein Gaati Thi Tarana.

Rehmaton Ke Taaj Waale
Do Jahan Ke Raaj Waale
Arsh Ke Meraj Waale
Aasiyon Ki Laaj Waale.

Baqshdo Jo Cheez Chaho
Kyun Ke Mehboobe Khuda Ho
Mustafa Ho Mujtaba Ho
Jo Kahoon Us Se Siwa Ho.

Hai Ye Hasrath Dar Pe Aayein
Ashk Ke Dariya Bahayein
Daagh Seene Ke Dikhayein
Saamne Ho Kar Sunayein.

Aye Shahinshahe Zamana
Aapka Ye Aastana
Rehmaton Ka Hai Khazana
Ho Nigahe Mehrbaana.

Aye Shahinshahe Madina
Aapse Doori Me Rehna
Saqt Mushkil Hai Ye Jeena
Jald Bulwaalo Madina.

Naaz Ke Paalon Ka Sadqa
Dukh Bhare Naalon Ka Sadqa
Karbala Waalon Ka Sadqa
Bheek Do Laalon Ka Sadqa.

Aye Mere Maula Ke Pyaare
Noor Ki Aankhon Ke Taare
Ab Kise Sayyad Pukarein
Tum Hamare Ham Tumhare.

Aapke Rutbe Bade Hain
Hum Gunahon Me Pade Hain
Baqsh Do Jitne Khade Hain
Hum Yahan Chote Bade Hain.

Teri Justju Me Jeena
Teri Aabru Me Marna
Yehi Meri Zindagi Hai
Yehi Meri Bandagi Hai.

Dil Ko Raas Bhi Tumhi Ho
Gham Shanaas Bhi Tumhi Ho
Dil Ki Aas Bhi Tumhi Ho
Dil Ke Paas Bhi Tumhi Ho.

Ho Na Tanha Rauze Mehshar
Saath Ho Mehboobe Daawar
Aur Ho Shabbir -O- Shabbar
Sar Pe Ho Zahra Ki Chaadar.

Hashr Me Khadim Tumhare
Paa Ke Rehmat Ke Ishare
Jaayein Kausar Ke Kinaare
Paayein Jannat Ke Nazare.

Aye Shafiye Roze Mehshar
Hain Yahan Isyaan Se Daftar
Ghouse Ka Sadqa Karam Kar
Chashm -O- Dil Karde Munawwar.

Dil Me Tum Masnad Nasheen Ho
Iss Makaan Ke Tum Makeen Ho
Ham Marein To Wo Zameen Ho
Aur Saraane Bhi Tumhi Ho.

Ya Rasoolallah Bachalo
Hum Gire Humko Sambhalo
Naare Dozaq Se Bachalo
Kaali Kamli Me Chupalo.

Poori Ya Rab Ye Dua Kar
Ham Dare Maula Pe Jaakar
Pehle Kuch Naatein Suna Kar
Ye Padhein Sar Ko Jhuka Kar.

Subha Ka Manzar Haseen Ho
Zarra Zarra Dil Nasheen Ho
Aur Madine Ki Gali Ho
Aapki Ummat Wahin Ho.

Jaankar Kaafi Sahara
Leliya Hai Dar Tumhara
Khalq Ke Waris Khudara
Lo Salaam Ab To Hamara.

Itna Karam Shahe Umam Ho
Khaali Rooh Se Jab Badan Ho
Shehre Taiba Ka Kafan Ho
Aur Madine Me Dafan Ho.

Waasta Aale Abaa Ka
Sadqa Hazrath Fatima Ka
Aur Shaheede Karbala Ka
Gham Na Ho Rauze Jaza Ka.

Jaankani Ke Waqt Aana
Chehra -E- Anwar Dikhana
Ambari Zulfein Sunghana
Kalma -E- Taiyyab Padhana.

Ranjo Gham Khaaye Huwe Hain
Door Se Aaye Huwe Hain
Tum Pe Itraaye Huwe Hain
Haath Phailaye Huwe Hain.

Sadqa Do Ghousul Wara Ka
Sadqa Do Khwaja Piya Ka
Sadqa Do Kul Auliya Ka
Rukh Badal Do Har Bala Ka.

Aye Shahinshaahe Risalat
Hain Yahan Jo Ahle Sunnat
Daaimaan Ham Sab Pe Rehmath
Baani -E- Mehfil Pe Barkat.

Mere Maula Mere Sarwar
Hai Yehi Armaane Akbar
Pehle Qadmon Pe Rakhun Sar
Phir Kahun Sar Ko Uthakar.

More from Salaat -O- Salaam

  • Aaqa Lelo Salaam Ab Hamara
  • Alwada Alwada Maahe Ramzan
  • Aye Deen -E- Haq Ke Rehbar
  • Aye Habeebe Ahmade Mujtaba
  • Aye Shahinshahe Madina Assalatu Wassalaam
  • Bulalo Sarkar Tum Apne Dar Par