Shaane Khuda Ke Aap Hain Mazhar

Shaane Khuda Ke Aap Hain Mazhar

Kalaam of Saif Sharfi

Shaane Khuda Ke Aap Hain Mazhar
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam
Rehmate Aalam Apne Payambar
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam.

Aapka Rutba Aapki Azmath
Ham Sab Ko Quran Ne Bataaya
Jab Hi To Bheja Khaliqe Akbar
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam.

Salle Alaa Ki Dhoom Machi Hai
Noore Khuda Ki Dhoom Machi hai
Haq Ne Banaaya Aapko At'har
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam.

Arshi Udhar Se Farshi Idhar Se
Aye Jaaane Aalam Aye Maahe Aalam
Masroor Hain Sab Mehfil Me Padhkar
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam.

Sare Hashr Aasiyon Ne Pukaara
Gunahgaar Aur Khatiyaun Ne Pukaara
Aao Aao Shafaye Mehshar
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam.

Taaje Shafa'at Aapke Sar Hai
Baabe Risalath Aapka Dar Hai
Koi Nahi Hai Aapse Badhkar
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam.

Unka Parakhna Khel Nahi Hai
Ye To Ataa -E- Ghaib Mili Hai
Saif Nabi Ka Kaun Hai Hamsar
Laakhon Durood Aur Laakhon Salaam.