Salaam Aye Aamena Ke Laal Aye Mehboobe Subhani
Salaam Aye Aamena Ke Laal Aye Mehboobe Subhani
Salaam Aye Aamena Ke Laal Aye Mehboobe Subhani
Salaam Aye Fakhre Maujudaat Fakhre Noe Insaani.
Salaam Aye Zille Rehmani Salaam Aye Noore Yazdani
Tera Naqshe Qadam Hai Zindagi Ki Loh Peshani.
Tere Aane Se Raunaq Aagayi Gulzaare Hasti Me
Shareek –E- Haale Qismat Hogaya Phir Fazle Rabbani.
Salaam Aye Sahibe Khulqe Azeem Insaan Ko Sikhlade
Yehi Aamal Pakeeza Yehi Ashghaal Roohani.
Teri Surath Teri Seerat Tera Naqsha Tera Jalwa
Tabassum Guftagu Banda Nawazi Khanda Peshani.
Zamana Muntazir Hai Ab Nayi Shirazah Bandi Ka
Bohot Kuch Hochuki Ajzaaye Hasti Ki Pareshani.
Zameen Ka Gosha Gosha Noor Se Mamoor Hojaye
Tere Par To Se Miljaye Har Ek Zarre Ko Tabani.
Tera Dar Ho Mera Sar Ho Mera Dil Ho Tera Ghar Ho
Tamanna Muqtasar Si Hai Magar Tamheed Tulaani.