Ya Rasoolallah Tere Dar Ki Fazaon Ko Salaam
Ya Rasoolallah Tere Dar Ki Fazaon Ko Salaam
Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab
Ya Rasoolallah Tere Dar Ki Fazaon Ko Salaam
Gumbade Khazra Ki Thandi Thandi Chaaun Ko Salaam.
Masjide Nabawi Ke Subho Aur Shaamon Ko Salaam
Ya Nabi Tere Ghulamon Ke Ghulamon Ko Salaam.
Waalihana Jo Tawaafe Rauzaye Aqdas Karein
Mast-O- Bekhud Wajd Karti Un Hawaon Ko Salaam.
Shehre Bat'ha Ke Daro Deewar Par Laakhon Durood
Zere Saaya Rehne Waalon Ki Sadaon Ko Salaam.
Jo Madine Ke Gali Koonchon Me Dete Hain Sada
Un Faqeeron Raahgeeron Aur Gadaon Ko Salaam.
Maangte Hain Jo Wahan Shaaho Gada Be Imtiyaz
Dil Ki Har Dhadkan Me Shaamil Un Duaon Ko Salaam.
Jo Padha Karte Hain Rozo Shab Tere Darbar Me
Pesh Karta Hai Zahoori Un Salaamon Ko Salaam.