Salaam Aap Par Taajdare Madina
Salaam Aap Par Taajdare Madina
Salaam Aap Par Taajdare Madina
Durood Aap Par Shehre Yaare Madina.
Karam Ho Karam Dono Aalam Ke Waali
Bulalije Chaukhat Pe Sarkare Aali
Gharibon Ki Fariyad Jaaye Na Khaali
Hum Aankhon Se Dekhen Bahare Madina.
Karam Aamina Bee Ke Aankhon Ke Taare
Haleema Ki Tanhaiyon Ke Sahare
Nabi Aap Hai Saare Nabiyon Se Pyaare
Fida Aap Par Aitbaare Madina.
Ghareebon Yateemon Ke Gham Khwar Aaqa
Har Ek Ummati Ke Madadgaar Aaqa
Ek Aalam Nahi Ya Faqre Do Aalam
Shahinshahe Naqshe Nigaare Madina.
Abu Bakr Siddiqe Akbar Ka Sadqa
Umar Aur Usmane Dilbar Ka Sadqa
Ali Murtaza Yaani Haidar Ka Sadqa
Dikha Dijiye Ab Dayaare Madina.