Chamka Maahe Noor Ka Hilaa

Chamka Maahe Noor Ka Hilaa

Kalaam of Owais Raza Quadri

Chamka Maahe Noor Ka Hilaal Marhaba
Ek Nazar Aasman Pe Daal Marhaba

Ya Rasoolallah Marhaba Marhaba
Ya Habiballah Marhaba Marhaba

Bekason se Hai Jinhe Pyaar Wohi Aaye Hain
Dono Aalam Ke Hain Ghamkhwar Wohi Aaye Hain.

Jhande Lagao Galiyan Sajao
Karlo Charghan Ghar Jagmagao
Raazi Hoga Rabbe Zuljalaal. Marhaba

Mehfil Sajaayen Naatein Sunayen
Aaqa Ki Aamad Ke Dhoomein Machayen
Rozo Shab Yehi Ho Apna Haal. Marhaba

Laraib Nabiyon Ke Salaar Aaye
Aaye Do Aalam Ke Ghamkhwar Aaye
Shaahkaare Rabbe Zuljalaal. Marhaba

Aashiq Ke Dil Jagmagane Lage Hain
Dekho Zara Muskurane Lage Hain
Deedni Hain Unke Khado Khaal. Marhaba

Sadqa Wiladath Ka Jalwa Dikhado
Dil Ki Lagi Ab To Aaqa Bujhado
Dikhlado Apna Ab Jamaal. Marhaba

Joodo Saqawath Hai Aadat Tumhari
Phailaye Daman Khade Hain Bhikari
Kardo Karam Aamina Ke Laal. Marhaba

Jaame Shahadat Piya Hai Jinho Ne
Ahle Sunan Ko Jila Di Unho Ne
Yaad Aayenge Wo Har Saal. Marhaba

Shaadi Ke Naghme Sunate Rahenge
Jashne Wiladat Manate Rahenge
Waar Denge Tumpe Jaano Maal. Marhaba

Padhne Laga Jab Ubaid Unki Naatein
Hone Lagi Chaarsu Uski Baatein
Faize Raza Ka Hai Sab Kamaal. Marhaba