Baarvi Ka Chand Aaya

Baarvi Ka Chand Aaya

Kalaam of Nisar Ali Ujagar Sahab

Baarvi Ka Chand Aaya Baarvi Ka Chand
Baarvi Ka Chand Aaya Baarvi Ka Chand.

Baccha Baccha Muskuraya Baarvi Ka Chand Aaya
Khushiyon Ka Toofan Laaya Baarvi Ka Chand Aaya.

Shaadmani Ke Tarane Goonjte Hain Dahr Me
Wajd Me Har Shaks Aaya Baarvi Ka Chand Aaya.

Raushni Hi Raushni Hai Chandni Hi Chandni
Zarra Zarra Muskuraya Baarvi Ka Chand Aaya.

Hogaye Hain Band Saare Zulmaton Ke Baab Aaj
Deher Me Wo Noor Aaya Baarvi Ka Chand Aaya.

Khil Uthi Kaliyan Mubarak Ki Gulon Par Hai Nikhaar
Baaghe Ulfath Lehlaaya Baarvi Ka Chand Aaya.

Saaze Jaan Pe Bajraha Hai Ek Naghma Baar Baar
Aamina Ka Laal Aaya Baarvi Ka Chand Aaya.

Shukr Karte Hi Raho Rab Ka Ujagar Subho Shaamo
Rab Ka Kaisa Fazl Paaya Baarvi Ka Chand Aaya.

More from Milad Shareef

More kalaam of Nisar Ali Ujagar Sahab

  • Aaj Badhawa Saajan Ghar
  • Aamade Mustafa Marhaba Marhaba
  • Aamena Bibi Ke Gulshan Me
  • Aaqa Ka Milad Aaya
  • Aye Baade Saba Chal Naat Suna
  • Aye Teergi Tu Jaa Tere Jaane Ka Waqt