Aamena Ka Laal Aaya
Aamena Ka Laal Aaya
Aamena Ka Laal Aaya
Aamena Ka Laal Aaya. (x4)
Aagaya Wo Noor Waala Jiski Oonchi Shaan Hai
Jiski Midhat Me Utara Rab Ne Ye Quran Hai.
Jo Kaha Mere Nabi Ne Wo Hamesha Sach Hua
Hubahu Tasleem Karta Aaj Sciencedaan Hai.
Aamena Tujhko Mubarak Tere Ghar Jalwa Figan
Aaj Wo Maahe Risaalath Nabiyon Ka Sultan Hai.
Jis Ki Haibat Se Pahadon Par Ho Taari Zalzale
Seena -E- Mahboob Par Utra Yehi Quran Hai.
Sangreze Bol Uthe Jab Hukum Ho Sarkar Ka
Dekh Munkir Unki To Patthar Ko Bhi Pehchan Hai.
Koi Bhi Tum Sa Haseen Aye Mere Maahe Mubee
Dono Aalam Me Nahi Hai Ye Mera Imaan Hai.
Ho Bayan Kaise Fazilat Aamena Ke Chand Ki
Jis Ki To Har Har Ada Par Bolta Quran Hai.
Waqte Aamad Rab Ki Rehmat Ke Jo Sadqe Wahan Bate
Aaj Usi Rehmath Ka Talib Ya Nabi Salman Hai.