Jashne Aamade Rasool

Jashne Aamade Rasool

Jashne Aamade Rasool Allah Hi Allah
Bibi Aamena Ke Phool Allah Hi Allah.

Jab Ke Sarkar Tashreef Laane Lage
Hooro Ghilman Bhi Khushiyan Manane Lage
Har Taraf Noor Ki Raushni Chagayi
Mustafa Kya Mile Zindagi Milgayi
Aye Haleema Teri God Me Aagaye
Dono Aalam Ke Rasool Allah Hi Allah.

Noor Ki Tan Gayi Chadarein Chaarsu
Hooro Ghilmaan Ki Poori Hui Aarzu
Mustafa Mujtaba Shaahe Kauno Makaan
Rab Ke Mehboob Jab Hogaye Rubaru
Phir Khuda Ne Kaha Mere Mehboob Tum
Ho Rasoolon Ke Rasool Allah Hi Allah.

Farsh Se Arsh Tak Noor Ka Hai Sama
Laaye Tashreef Duniya Me Khairul Wara
Aasi Ummat Ki Qismat Sawarne Lagi
Barishen Rehmaton Ki Barasne Lagi
Aye Haleema Teri Loriyon Ke Liye
Rab Ke Aagaye Rasool Allah Hi Allah.

Chehraye Mustafa Jab Dikhaya Gaya
Chup Gaye Taare Aur Chand Sharmagaya
Aamena Dekhkar Muskurane Lagin
Hawwa Mariyam Bhi Khushiyan Lagin
Aamena Bibi Sab Se Ye Kehne Lagi
Dua Hogayi Khubool Allah Hi Allah.

Shaadiyane Khushi Ke Bajaye Gaye
Shaad Ke Naghme Sab Ko Sunaye Gaye
Har Taraf Shor Salle Alaa Hogaya
Aaj Paida Habeebe Khuda Hogaya
Phir To Jibreel Ne Bhi Ye Ailaan Kiya
Ye Khuda Ke Hain Rasool Allah Hi Allah.

Jinka Saaya Zameen Par Na Paaya Gaya
Noor Se Noor Dekho Juda Na Hua
Ham Ko Aabid Nabi Par Bada Naaz Hai
Kya Haseen Mere Aaqa Ka Andaaz Hai
Jisne Rukh Par mali Wo Shifa Paagaya
Khaake Taiba Teri Dhool Allah Hi Allah.