Man Naachat Hai Man Gaawat hai

Man Naachat Hai Man Gaawat hai

Kalaam of Adeeb Raipuri Sahab

Man Naachat Hai Man Gaawat hai
Tora Janam Divas Jab Aawat Hai
Tore Naam Ki Bansi Sun Sun Kar
More Man Ka Kanwal Khil Jaawat Hai.

Jab Koi Koyaliya Amwa Par
Tori Prem Kaveeta Gaawat Hai
Tore Prem Ka Meetha Meetha Ras
Man Aangan Me Barsaawat Hai

Tori Baansi Baajat Hai Man Me
Tore Geet Hain Galiyan Galiyan Me
Har Taan Hai Agni Ban Jaawat
Mora Tan Man Sab Jal Jaawat Hai.

Wo Hamre Kaaj Banaane Ko
Wo Hamre Bhaag Jagaane Ko
Aakash Se Dharti, Dharti Se
Aakash Pe Jaawat Aawat Hai.

Wo Madh Bhare Nain Wo Chandr Badan
Sansaar Bana Jinke Kaaran
Uss Noor Mukat Ke Darshan Se
Suraj Ki Kiran Sharmawat Hai.

Baante Har Dukhiyare Ka Dukh
Jo Naam Hai Dukhiya Man Ka Sukh
Pat Rakhe Wo Jis Dharti par
Maathi Sona Banjawat Hai.

Jo Laaj Gaye Ki Laaj Rakhe
Mangton Ke Sar Par Taaj Rakhe
Wohi Gyaan Dhyaan Adeeb Mora
Wohi Mora Dharam Kehlawat Hai.

More from Milad Shareef

More kalaam of Adeeb Raipuri Sahab

  • Aaj Badhawa Saajan Ghar
  • Aamade Mustafa Marhaba Marhaba
  • Aamena Bibi Ke Gulshan Me
  • Aaqa Ka Milad Aaya
  • Aye Baade Saba Chal Naat Suna
  • Aye Teergi Tu Jaa Tere Jaane Ka Waqt