Har Simt Barasti Hui Rehmath Ki Jhadi Hai
Har Simt Barasti Hui Rehmath Ki Jhadi Hai
Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab
Har Simt Barasti Hui Rehmath Ki Jhadi Hai
Ye Sarware Kaunain Ke Aane Ki Ghadi Hai.
Wo Abre Karam Dasht Ko Gulzaar Banaye
Wo Saaya -E- Rehmath Hai Agar Dhoop Kadi Hai.
Mehboob Ke Darbar Se Jo Maango Milega
Allah Ki Raza Aapke Chaukhat Pe Khadi Hai.
Sarkar Ne Hassan Ko Mimbar Pe Bithaya
Aaqa Ke Sana Khwan Ki Tauqeer Badi Hai.
Jab Chaahe Zahoori Karun Rauze Ka Nazara
Tasweer Madine Ki Mere Dil Me Jadi Hai.