Kayenaat -E- Aalam Ka Toor Hi Niraala Hai

Kayenaat -E- Aalam Ka Toor Hi Niraala Hai

Kayenaat -E- Aalam Ka Toor Hi Niraala Hai
Aamena Tere Ghar Me Noor Aane Waala Hai.

Ye Ishara Pihaan Hai Unke Waqte Aamad Me
Raat Dhalne Waali Hai Din Nikalne Waala Hai.

Ghar Sajaake Aamad Par Khud Hi Khud Se Kehta Hoon
Ghar Ki Raushni Kya Hai Qabr Ka Ujaala Hai.

Wo Jo Unka Tukda Ho Wo Jo Unka Sadqa Ho
Khuld Ka Niwaala Hai Khuld Ka Piyaala Hai.

Ishqe Sarware Aalam ZIkre Shafaye Aazam
Apni Maghfirath Ka Ek Mustanad Hawala Hai.

Ibteda -E- Khalqat Se Inteha Tak Aye Maqbool
Unka Bol Baala Tha Unka Bol Baala Hai.

More from Milad Shareef

  • Aaj Badhawa Saajan Ghar
  • Aamade Mustafa Marhaba Marhaba
  • Aamena Bibi Ke Gulshan Me
  • Aaqa Ka Milad Aaya
  • Aye Baade Saba Chal Naat Suna
  • Aye Teergi Tu Jaa Tere Jaane Ka Waqt