Pukaro Ya Rasoolallah
Pukaro Ya Rasoolallah
Tum Bhi Karke Unka Charcha Apne Dil Chamkaao
Oonche Me Ooncha Nabi Ka Jhanda Ghar Ghar Me Lehraao.
Pukaro Ya Rasoolallah Ya Habeeballah
Pukaro Ya Rasoolallah Ya Habeeballah. (x4)
Ya Rasoolallah Ke Naare Se Hamko Pyaar Hai
Hamne Ye Naara Lagaya Apna Beda Paar Hai.
Nabi Ka Jhanda Lekar Niklo Duniya Par Chajaao
Nabi Ka Jhanda Aman Ka Jhanda Ghar Ghar Me Lehraao
Chorus...
Purnoor Hai Zamana Subhe Shabe Wiladat
Parda Utha Hai Kiska Subhe Shabe Wiladat
Shaadi Rachi Hui Hai Bajte Hain Shadiyaane
Dulha Bana Wo Dulha Subhe Shabe Wiladat
Aayi Nayi Hukumath Sikka Naya Chalega
Aalam Ne Rang Badla Subhe Shabe Wiladat
Pyaare Rabiul Awwal Teri Jhalak Ke Sadqe
Chamka Diya Naseeba Subhe Shabe Wiladat
Roohul Ameen Ne Gaada Kaabe Ki Chat Pe Jhanda
Ta Arsh Udha Pharera Subhe Shabe Wiladat
Baite Aqsa Baabe Kaaba Bar Makaane Aamena
Nasb Parcham Hogaya Ahlaw Wa Sahlan Marhaba
Tum Bhi Karke Unka Charcha Apne Dil Chamkaao
Oonche Me Ooncha Nabi Ka Jhanda Ghar Ghar Me Lehraao.
Chorus...
Ya Habeebe Kibriya Ahlaw Wa Sahlan Marhaba
Mustafa -O- Mujtaba Ahlaw Wa Sahlan Marhaba
Taajdaare Ambiya Ahlaw Wa Sahlan Marhaba
Mursaleen Ke Peshwa Ahlaw Wa Sahlan Marhaba.
Sarkar Ki Aamad Marhaba Dildaar Ki Aamad Marhaba Sab Mil Kar Bolo Marhaba Sab Uncha Bolo Marhaba Parcham Lehra Kar Bolo Marhaba Hath Lehra Kar Bolo Marhaba Sharmana Chodo Marhaba Deewano Jhoom Ke Bolo Marhaba Sarkar Ki Aamad Marhaba Dildaar Ki Aamad Marhaba Huzoor Ki Aamad Marhaba Purnoor Ki Aamad Marhaba Zeeshan Ki Aamad Marhaba Habeeb Ki Aamad Marhaba Tabeeb Ki Aamad Marhaba Nabi Ki Aamad Marhaba Ummi Ki Aamad Marhaba Arabi Ki Aamad Marhaba Qarashi Ki Aamad Marhaba Hashmi Ki Aamad Marhaba Makki Ki Aamad Marhaba Madani Ki Aamad Marhaba Awwal Ki Aamad Marhaba Aakhir Ki Aamad Marhaba Zaahir Ki Aamad Marhaba Baatin Ki Aamad Marhaba Basheer Ki Aamad Marhaba Nazeer Ki Aamad Marhaba Zara Milkar Bolo Marhaba Zara Jhoom Ke Bolo Marhaba Sharmana Chodo Marhaba Zara Milkar Bolo Marhaba.
Chorus...
Naat Khwani Maut Bhi Ham Se Chura Sakti Nahi
Qabr Me Bhi Mustafa Ke Geet Gaate Jaayenge.
Khuld Me Hoga Hamara Dakhila Iss Shaan Se
Ya Rasoolallah Ka Naara Lagaate Jaayenge.