Muhammad Dilon Ki Dawa Banke Aaye

Muhammad Dilon Ki Dawa Banke Aaye

Kalaam of Hazrath Abdul Qadeer Siddiqui (Hasrath) R.a

Muhammad Dilon Ki Dawa Banke Aaye
Muhammad Sarapa Shifa Banke Aaye.

Muhammad Rusul Ki Dua Banke Aaye
Hamare Liye Muddua Banke Aaye.

Jahan Tha Jahalat Se Tareek Jis Dam
Muhammad Charaghe Huda Banke Aaye.

Haqiqath Ki Surath Na Thi Dil Me Kuch Bhi
Muhammad Dilon Ki Safa Banke Aaye.

Pareshan Thi Khalqe Khuda Jab Sarasar
Paye Khalq Mushkil Kusha Banke Aaye.

Nikal Aayi Apni Shafa'ath Ki Surath
Muhammad Shafiul Wara Banke Aaye.

Padi Khalq Ki Jaan Me Jaan Hasrath
Ke Jaane Jahan Mustafa Banke Aaye.

More from Milad Shareef

More kalaam of Hazrath Abdul Qadeer Siddiqui (Hasrath) R.a

  • Aaj Badhawa Saajan Ghar
  • Aamade Mustafa Marhaba Marhaba
  • Aamena Bibi Ke Gulshan Me
  • Aaqa Ka Milad Aaya
  • Aye Baade Saba Chal Naat Suna
  • Aye Teergi Tu Jaa Tere Jaane Ka Waqt