Falak Ke Nazaron Zameen Ki Baharon
Falak Ke Nazaron Zameen Ki Baharon
Kalaam of Muhammad Ali Zahoori
Falak Ke Nazaron Zameen Ki Baharon
Sab Eidein Manao, Huzoor Aagaye Hain
Utho Besaharo Chalo Gham Ke Maaron
Khabar Ye Sunao, Huzoor Aagaye Hain.
Anokha Niraala Wo Zeeshan Aaya
Wo Saare Rasoolon Ka Sultan Aaya
Are Baadshahon Are Kajkulaon
Nigahein Jhukao, Huzoor Aagaye Hain.
Sama Hai Sana -E- Habeebe Khuda Ka
Ye Milad Hai Sarware Ambiya Ka
Nabi Ke Gadaon Sab Ek Doosre Ko
Gale Se Lagao, Huzoor Aagaye Hain.
Hawaon Me Jazbaat Hain Marhaba Ke
Fazaon Me Naghmaat Salle'Alaa Ke
Duroodon Ke Kajre Salaamon Ke Tohfe
Ghulamon Sajaao, Huzoor Aagaye Hain.
Huwa Charsu Rahmaton Ka Basera
Ujaala Ujaala Sawera Sawera
Halima Ko Pohonchi Khabar Aamena Ki
Mere Ghar Me Aao, Huzoor Aagaye Hain.
Kahan Mai Zahoori Kahan Unki Baatein
Karam Hi Karam Hai Ye Din Aur Raatein
Jahan Par Bhi Jaao Dilon Ko Jagao
Yehi Kehte Jaao, Huzoor Aagaye Hain.