Kaun Shehre Makkah Me

Kaun Shehre Makkah Me

Kaun Shehre Makkah Me Subha Subha Aaya Hai
Jiske Noor Se Aalam Saara Jagmagaya Hai.

Ghaib Se Nida Aayi Aamena Mubarak Ho
Tu Ne Rehmate Haq Se Noor Haq Ka Paaya Hai.

Aql Sabki Hairan Hai Dekhkar Shahe Deen Ko
Ye Bashar To Hai Lekin Kyun Na Inka Saaya Hai.

"Innama Anaa Basharum Mislukum" Ke Parde Me
Haq Ne Apne Jalwon Ka Aayina Sajaya Hai.

Ya Nabi Mai Tumpar Kyun Na Jaano Dil Fida Kardun
Hamne Aapko Paakar To Khuda Ko Paaya Hai.

Thi Nida Shabe Asra "Udnu Minni" Aye Mehboob
Be Dhadak Chale Aao Hamne Hi Bulaaya Hai.

Damane Nabi Aashiq Ab Na Hamse Chootega
Hamne Unse Jo Maanga Wo Khuda Se Paaya Hai.