Kabhi Unka Naam Lena Kabhi Unki Baat Karna

Kabhi Unka Naam Lena Kabhi Unki Baat Karna

Kalaam of Syed Naseer Uddin Naseer Sahab

Kabhi Unka Naam Lena Kabhi Unki Baat Karna
Mera Zouq Unki Chahat Mera Shouq Unpe Marna.

Wo Kisi Ki Jheel Aankhein Wo Meri Junoon Mizaaji
Kabhi Doobna Ubhar Kar Kabhi Doob Kar Ubharna.

Tere Manchalon Ka Jag Me Ye Ajab Chalan Raha Hai
Na Kisi Ki Baat Sunna Na Kisi Se Baat Karna.

Shabe Gham Na Pooch Kaise Tere Mubtela Pe GUzri
Kabhi Aah Bhar Ke Girna Kabhi Gir Ke Aah Bharna.

Wo Teri Gali Ke Tewar Wo Nazar Nazar Pe Pehre
Wo Mera Kisi Bahane Tujhe Dekhte Guzarna.

Kahan Mere Dil Ki Hasrath Kahan Meri Naa Rasaayi
Kahan Tere Gesuon Ka Tere Dosh Par Bikharna.

Chale Laakh Chaal Duniya Ho Zamana Laakh Dushman
Jo Teri Panah Me Ho Use Kya Kisi Se Darna.

Wo Kareinge Na Khudayi To Lagegi Paar Kashti
Hai Naseer Warna Mushkil Tera Paar Yoon Utana.

More from Nisbati Kalaam

More kalaam of Syed Naseer Uddin Naseer Sahab

  • Aaj Karna Hai Charaghan
  • Aaj Rang Hai
  • Aankh Aisi Lada Gaya Koi
  • Aao Tasbeeh Subho Shaam Karein
  • Aayate Qurane Naatiq Aynuma Aankhon Me Hai
  • Aaya Banna Aaya Hariyala Banna Aaya