Aaya Banna Aaya Hariyala Banna Aaya

Aaya Banna Aaya Hariyala Banna Aaya

Kalaam of Hazrath Wiqaar Siddiqui R.a

Aaya Banna Aaya Hariyala Banna Aaya
Raaj Dulaara Banna Aaya.

Haidar Ka Boot Aaya Zahra Ka Jaaya Aaya
Hooro Malak Ne Gaaya
Hariyala Banna Aaya Raaj Dulaara Banna Aaya.

Tasweer Mustafa Ki Tanveer Murtaza Ki
Sar Par Khuda Ka Saaya
Hariyala Banna Aaya Raaj Dulaara Banna Aaya.

Jo Maangne Ko Aaya Man Ki Muraad Paaya
Tera Karam Khudaya
Hariyala Banna Aaya Raaj Dulaara Banna Aaya.

Mai To Nazar Ke Dar Se Dekhi Na Aankh Bhar Ke
Mohan Mukh Paaya
Hariyala Banna Aaya Raaj Dulaara Banna Aaya.

Tan Man Waardaalun Teri Bala Ko Taalun
Ye Din Khuda Dikhaya
Hariyala Banna Aaya Raaj Dulaara Banna Aaya

Dekho Viqaar Kaisi Mukhde Pe Hai Tajalli
Jag Saara Jagmagaya
Hariyala Banna Aaya Raaj Dulaara Banna Aaya.

More from Nisbati Kalaam

More kalaam of Hazrath Wiqaar Siddiqui R.a

  • Aaj Karna Hai Charaghan
  • Aaj Rang Hai
  • Aankh Aisi Lada Gaya Koi
  • Aao Tasbeeh Subho Shaam Karein
  • Aayate Qurane Naatiq Aynuma Aankhon Me Hai
  • Ab Aadmi Kuch Aur Hamari Nazar Me Hai