Aao Tasbeeh Subho Shaam Karein
Aao Tasbeeh Subho Shaam Karein
Kalaam of Dr. Tahir -Ul- Quadri Sahab
Aao Tasbeeh Subho Shaam Karein
Yoon Ghame Zindagi Tamaam Karein.
Unka Aana Tha Kuch Khabar Na Rahi
Aaj Sajda Karein Khiyaam Karein.
Har Taraf Jaan -O- Bicha Dije
Kya Khabar Wo Kahaa Qayaam Karein.
Chashme Tar Soze Aarzu Lekar
Unke Jalwe Ka Intezaam Karein.
Jal Uthega Ye Aalame Hasti
Husn Jab Bhi Wo Be Niyaam Karein.
Jinko Husne Azal Me Dhalna Ho
Apne Hone Ka In’adaam Karein
Saaqiya Tera Maikada Kya Hai
Bin Piye Raqs Tishna Aam Karein.
Koi Bijlee Chala Hi De Shayad
Aao Ham Toor Par Khayaam Karain
Ham Jo Chahein Tere Zariye Se
Ham Tera Zikr Shubho Shaam Karein.
Tu Hamein Yaad Bhi Kare Na Kare
Ham Tera Zikr Subho Shaam Karein.
Raaze Hasti Khule Nahi Tahir
Matla Hi Maqta -E- Kalaam Karein.