Mominon Khushiyan Manao Kamli Waala Aagaya

Mominon Khushiyan Manao Kamli Waala Aagaya

Mominon Khushiyan Manao Kamli Waala Aagaya
Rabbe Sallim Gungunao Kamli Waala Aagaya.

Chehraye Wal Fajr Se Aur Gesu -E- Wal Layl Se
Dil Ko Aayina Banao Kamli Waala Aagaya.

Jhukgaya Sajde Me Baitullah Bhi Tazeem Ko
Ab Diye Dil Ke Jalaao Kamli Waala Aagaya.

Godh Lekar Haleema Sadiya Ne Yoon Kahan
Azmaton Ke Geet Gaao Kamli Waala Aagaya.

Chand Suraj Aur Sitaaron Kehkashan Ardo Falak
Raushni Apni Badhaao Kamli Waala Aagaya.