Lab Pe Salle Alaa Ke Taraane
Lab Pe Salle Alaa Ke Taraane
Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab
Lab Pe Salle Alaa Ke Taraane
Ashk Aankhon Me Aaye Hue Hain
Ye Hawa Ye Faza Kehrahi Hai
Aaqa Tashreef Laaye Hue Hain.
Har Soo Charcha Hai Khairul Wara Ka
Jashne Milad Hai Mustafa Ka
Noor Hai Ye Habeebe Khuda Ka
Raaste Jagmagaye Hue Hain.
Azmaton Ke Nageene Jade Hain
Naam Nabiyon Ke Beshak Bade Hain
Muqtadi Banke Peeche Khade Hain
Wo Jo Pehle Se Aaye Hue Hain.
Jhuk Raha Hai Falak Bhi Zameen Bhi
Aisi Chaukhat Na Dekhi Kahin Bhi
Jis Jagah Jibraeel -E- Ameen Bhi
Apni Gardan Jhukaye Hue Hain.
Dar Khule Unke Jood -O- Sakha Ke
Faiz Jaari Hain Lutf -O- Ataa Ke
Aayein Darbar Me Mustafa Ke
Jo Bhi Gham Ke Sataaye Hue Hain.
Zindagi Door Rehke Adhoori
Hasrate Deed Kab Hogi Poori
Apni Palkon Pe Ham Bhi Zahoori
Chand Aansu Bahaaye Hue Hain.