Karam Ke Baadal Baras Rahe Hain
Karam Ke Baadal Baras Rahe Hain
Karam Ke Baadal Baras Rahe Hain
Dilon Ki Kheti Hari Bhari Hai
Ye Kaun Aaya Ke Zikr Jiska
Nagar Nagar Hai Gali Gali Hai.
Ye Kaun Bankar Qaraar Aaya
Ye Kaun Jaane Bahaar Aaya
Gulon Ke Chehre Hai Nikhre Nikhre
Kali Kali Me Shaguftagi Hai
Diye Dilon Ke Jalaye Rakhna
Nabi Ki Mehfil Sajaye Rakhna
Jo Rahate Dil Sukoone Jaan Hai
Wo Zikr Zikre Muhammadi Hai.
Mere Nabi Ki Hai Shaan Baala
Bada Saqi Hai Madine Waala
Hame To Jo Kuch Bhi Mil Raha Hai
Wo Meherbani Huzoor Ki Hai.
Nabi Ko Apna Khuda Na Maano
Magar Khuda Se Juda Na Jaano
Ye Ahle Imaan Ka Hai Aqeeda
Khuda Khuda Hai Nabi Nabi Hai.
Na Maango Duniya Ke Tum Qazine
Chalo Niyazi Chalen Madine
Ke Baadshahi Se Badhke Pyaare
Nabi Ke Dar Ki Gada Gari Hai.