Marhaba Ya Mustafa - (2)

Marhaba Ya Mustafa - (2)

Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa. (x8)

Mubarak Ho Wo Shah Parde Se Bahar Aane Waala Hai
Gadai Ko Zamana Jiske Dar Par Aane Waala Hai.

Kahan Hai Tooti Umeedein Kahan Hai Besahare Dil
Ke Wo Faryade Ras Bekas Ka Yaawar Aane Waala Hai.

Thikana Be Thikanon Ka Sahara Be Saharon Ka
Ghareebon Ki Madad Bekas Ka Yaawar Aane Waala Hai.

Salateene Zamana Jiske Dar Pe Bheek Maangenge
Faqeeron Ko Mubarak Wo Tawangar Aane Waala Hai.

Gunahgaron Na Ho Mayoos Tum Apni Rihaai Se
Madad Ko Wo Shafiye Roze Mehshar Aane Waala Hai.

Mubarak Dardmandon Ko Ho Mushda Beqararon Ko
Qaraare Dil Shakeebe Jaane Muztar Aane Waala Hai.

Hasan Kehde Uthein Sab Ummati Tazeem Ki Khaatir
Ke Apna Peshwa Apna Payambar Aane Waala Hai.