Chaar Soo Rehmaton Ke Ujaale Hue

Chaar Soo Rehmaton Ke Ujaale Hue

Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab

Chaar Soo Rehmaton Ke Ujaale Hue
Bazme Kaunain Ke Peshwa Aagaye
Zarre Aflaak Ki Baatein Karne Lage
Mustafa Aagaye Mustafa Aagaye.

Gham Ke Maare Hue Muskurane Lage
Zulmaton Ke Makeen Jagmagane Lage
Bekason Ke Muqaddar Thikane Lage
Sabke Mohsin Habeebe Khuda Aagaye.

Hazrate Moosa JInko Taraste Rahe
Ibne Mariyam Bhi Jinki Khabar Degaye
Pehle Aaye Hue Jinke Peeche Khade
Aaj Wo Khatimul Ambiya Aagaye.

Be Zabanon Ko Tarze Sada Baqshdi
Faani Insaniyath Ko Baqa Baqshdi
Dushmane Jaan Ki Har Ek Khata Baqshdi
Banke Rehmath Shafiul Wara Aagaye.

Shab Gazeedah Ko Noore Sahar Dediya
Kor Deedah Ko Zauqe Nazar Dediya
Benawa Ki Dua Ko Asar Dediya
Saari Maqlooq Ka Aasra Aagaye.

Zikr Kaise Karun Wasfe Sarkar Ka
Kya Bayaan Ho Sama Unke Darbar Ka
Dil Zahoori Bana Matla Anwaar Ka
Jab Tasawwur Me Wo Dilruba Aagaye.

More from Milad Shareef

More kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab

  • Aaj Badhawa Saajan Ghar
  • Aamade Mustafa Marhaba Marhaba
  • Aamena Bibi Ke Gulshan Me
  • Aaqa Ka Milad Aaya
  • Aye Baade Saba Chal Naat Suna
  • Aye Teergi Tu Jaa Tere Jaane Ka Waqt