Muqthar Khudayi Ke Hain Aaqa -E- Madina
Muqthar Khudayi Ke Hain Aaqa -E- Madina
Kalaam of Hazrath Wajoodi Shah Sahab Rh
Muqthar Khudayi Ke Hain Aaqa -E- Madina
Kaunain Ke Sardaar Hain Maula -E- Madina.
Allah Ke Mehboob Hain Maula -E- Madina
Sartaaj Rasoolon Ke Hain Aaqa -E- Madina.
Maula Mere Allah Mere Itni Meri Sunle
Ye Sar Ho Mera Aur Dare Maula -E- Madina.
Jannat Ki Hawa Mujhko Pasand Aati Nahi Hai
Ye Dil Hai Mera Waala -O- Shaida -E- Madina.
Sajde Kiya Karta Hoon Madine Ki Jihath Me
Kaaba Mera Sange Dare Maula -E- Madina.
Armaan Yehi Aur Yehi Meri Tamanna
Maskan Mera Madfan Mera Hojaye Madina.
Kis Lutf Se Din Zeest Ke Guzrenge Ilaahi
Dil Me Mere Aankhon Me Sama Jaaye Madina.
Nazaan Hoon Muqaddar Pe Wajoodi Ke Mujhe Bhi
Allah Ne Kiya Banda -E- Maula -E- Madina.