Kalaame Khuda Hai Kalaame Muhammad
Kalaame Khuda Hai Kalaame Muhammad
Kalaam of Hazrath Shaikhain Ahmed Shuttari (Kamil) R.a
Kalaame Khuda Hai Kalaame Muhammad
Khuda Khud Hai Goya Ba Naame Muhammad.
Har Ek Shai Ki Tashkeel Noore Nabi Se
Nizaame Jahan Hai Nizaame Muhammad.
Kahi Chaar Harfon Me Naate Mukammal
Khuda -E- Jahan Ne Ba Naame Muhammad.
Khuda Ki Qasam Hai Khuda Jaanta Hai
Khuda Hi Se Pucho Maqame Muhammad.
Zara Unki Nisbath Se Rab Ko Pukaaro
Sabhi Kuch Milega Ba Naame Muhammad.
Wohi Asle Tauheed Ka Baadakash Hai
Ye Mae Jisne Paayi Ba Naame Muhammad.
Ye Duniya Ka Gham Hai Na Uqba Ka Dhadka
Bada Mutmain Hai Ghulame Muhammad.
Banaata Hon Har Ek Bigdi Usi Ki
Ajab Isme Aazam Hai Naame Muhammad.
Khuda Ka Bhi Irfaan Aasan Hai Lekin
Samajhna Hai Mushkil Maqame Muhammad.
Ghulame Muhammad Hoon Kehna To Aasan
Magar Ban To Jaao Ghulame Muhammad.
Nabuwwat Ta'aiyyun Risalath Ta'aiyyun
Ta'aiyyun Se Aage Maqame Muhammad.
Isi Se Hai Kamil Meri Kajkulaahi
Manam Az Sagaane Ghulame Muhammad.