Khidmat -E- Naat Hai Wirsatan Mustafa

Khidmat -E- Naat Hai Wirsatan Mustafa

Kalaam of Hazrath Jameel Uddin Sharfi R.a

Khidmat -E- Naat Hai Wirsatan Mustafa
Dar Se Wabasta Hoon Nisbatan Mustafa.

Aap Misle Bashar Khalqatan Mustafa
Suratan Mustafa Seeratan Mustafa.

Tazkiyah Aur Taleem Tableeghe Deen
Aap Ummi Laqab Hukmatan Mustafa.

Log Warna Khuda Aapko Maan Lein
Khud Hi Kehlein Bashar Aadatan Mustafa.

Maaiye Ghaib Par Aisa Qabza Bhi Hai
Raaz Khul Jaate Hain Daf'atan Mustafa.

Rehmatein Jaisi Aijaad Hain Aapki
Har Kahein Hai Karam Nudratan Mustafa.

Dono Aalam Agarche Hain Peshe Nazar
Saire Meraj Hai Tohfatan Mustafa.

Aap Aajate Hain Mere Ash'aar Me
Sab Mujhe Takte Hain Hairatan Mustafa.

Apni Naaton Me Inko Jagah Dijiye
Nazr Kuch Sher Hain Hadiyatan Mustafa.

Baare Isiyaan Ka Khatra Nahi Kuch Jameel
Hai Karam Hi Fuzoon Nisbatan Mustafa.

More from Hyderabadi Kalaam

More kalaam of Hazrath Jameel Uddin Sharfi R.a

  • Aap Kaunain Ki Hain Jaan Rasoole Arabi
  • Aayina -E- Haq Rooe Munawwar
  • Agar Che Mehr -O- Maah Se Raat Din Hai Raabta Apna
  • Agar Ham Bhi Madine Me Pale Hote
  • Ahwal Unko Roke Sunane Ki Der Hai
  • Ali Mushkil Kusha Ka Naam Japna Meri Aadat Hai