Wahan Hai Rehmate Haq Ki Jhadi Chaliye Madine Ko

Wahan Hai Rehmate Haq Ki Jhadi Chaliye Madine Ko

Kalaam of Hazrath Hameed Uddin Sharfi Sahab (Saifi)

Wahan Hai Rehmate Haq Ki Jhadi Chaliye Madine Ko
Nabi Ka Lutf Paane Har Ghadi Chaliye Madine Ko.

Sitaaron Ko Jahan Se Noor Ki Khairaat Milti Hai
Har Ek Zarre Se Phoote Raushni Chaliye Madine Ko.

Bata Karti Hai Subho Shaam Daulat Dono Aalam Me
To Kyun Daman Rahe Khaali Koi Chaliye Madine Ko.

Kiya Hai Zulm Jaan Par To Nabi Ke Paas Jaana Hai
Quran Ka Faisla Hai Bas Yehi Chaliye Madine Ko.

Hukoomat Jinki Hai Kaunain Par Taiba Rehte Hain
Sanwar Jayegi Saifi Zindagi Chaliye Madine Ko.

More from Hyderabadi Kalaam

More kalaam of Hazrath Hameed Uddin Sharfi Sahab (Saifi)

  • Aap Kaunain Ki Hain Jaan Rasoole Arabi
  • Aayina -E- Haq Rooe Munawwar
  • Agar Che Mehr -O- Maah Se Raat Din Hai Raabta Apna
  • Agar Ham Bhi Madine Me Pale Hote
  • Ahwal Unko Roke Sunane Ki Der Hai
  • Ali Mushkil Kusha Ka Naam Japna Meri Aadat Hai