Allah Allah Allah Bhi Aashiq Unka Aisa Bhi
Allah Allah Allah Bhi Aashiq Unka Aisa Bhi
Kalaam of Hazrath Jameel Uddin Sharfi R.a
Allah Allah Allah Bhi
Aashiq Unka Aisa Bhi.
Banda Banda Banda Bhi
Sab Par Unka Qabza Bhi.
Aisa Wo Ek Raja Bhi
Paas Na Chaandi Sona Bhi.
Gosha Gosha Parda Bhi
Chappa Chappa Jalwa Bhi.
Imaanon Par Qabza Bhi
Shahid Unka Kalma Bhi.
Saaya Zaahir Hota Bhi
Qad Ka Ho Andaza Bhi.
Nabiyon Ke Sar Par Saaya
Unka Jhanda Uncha Bhi.
Raahe Taiba Raushan Ho
Kaash Me Jalta Aisa Bhi.
Jannat Me Ho Ghar Waala
Nanga Bhooka Pyaasa Bhi.
Mehshar Ka Din Phir Aaya
Dekh Jameel Ab Jalwa Bhi.