Lutfe Lail -O- Nahaar Tumse Hai

Lutfe Lail -O- Nahaar Tumse Hai

Kalaam of Hazrath Hameed Uddin Sharfi Sahab (Saifi)

Lutfe Lail -O- Nahaar Tumse Hai
Zindagi Ki Bahaar Tumse Hai.

Zindagi Ka Madaar Tumse Hai
Fazle Parwardigar Tumse Hai.

Ho Yagana Ke Chaahe Begana
Sabka Daaro Madaar Tumse Hai.

Mast Hota Hai Koi Pee Pee Kar
Be Piye Ke Khumaar Tumse Hai.

Tumse Hai Sab Muaamla Mera
Naqd Tumse Udhaar Tumse Hai.

Laaj Meri Rakho Khuda Ke Liye
Jeet Tumse Hai Haar Tumse Hai.

Jaanta Hai Zamana Sab Isko
Saife Deen Ba Waqar Tumse Hai.

More from Nisbati Kalaam

More kalaam of Hazrath Hameed Uddin Sharfi Sahab (Saifi)

  • Aaj Karna Hai Charaghan
  • Aaj Rang Hai
  • Aankh Aisi Lada Gaya Koi
  • Aao Tasbeeh Subho Shaam Karein
  • Aayate Qurane Naatiq Aynuma Aankhon Me Hai
  • Aaya Banna Aaya Hariyala Banna Aaya