Ikatthe Hoke Husn -O- Ishq Mere Dil Me Rehte Hain

Ikatthe Hoke Husn -O- Ishq Mere Dil Me Rehte Hain

Kalaam of Hazrath Mir Imdad Ali (Ulvi)R.a

Ikatthe Hoke Husn -O- Ishq Mere Dil Me Rehte Hain
Yahan Laila -O- Majnun Ek Hi Mehmil Me Rehte Hain.

Kiya Hai Qatl To Hamko Kahan Jaate Ho Dekheinge
Ke Qaatil Baad Kushtan Deeda -E- Bismil Me Rehte Hain.

Sama Sakte Na The Wo Jo Zameenon Aasman Me Bhi
Ye Simte Hain Hamari Aankh Ke Jo Til Me Rehte Hain.

Makaanon Se Bhi Ulfath Hai Agarche Laa Makaan Me Wo
Pata Dete Nahi Apna Ye Aab -O- Gill Me Rehte Hain.

Nikal Kar Jaa Nahi Sakte Kahin Khursheed Se Zarre
Jo Simte Shams Me Rehte Hain Phaile Zill Me Rehte Hain.

Nahi Hain Door Ham Ek Aan Ulvi Apne Mirza Se
Agarche Khud Hai Naaqis Pehlu -E- Kamil Me Rehte Hain.

More from Nisbati Kalaam

More kalaam of Hazrath Mir Imdad Ali (Ulvi)R.a

  • Aaj Karna Hai Charaghan
  • Aaj Rang Hai
  • Aankh Aisi Lada Gaya Koi
  • Aao Tasbeeh Subho Shaam Karein
  • Aayate Qurane Naatiq Aynuma Aankhon Me Hai
  • Aaya Banna Aaya Hariyala Banna Aaya