Sab Jahanon Me Nabi -E- Paak Ka Faizan Hai
Sab Jahanon Me Nabi -E- Paak Ka Faizan Hai
Kalaam of Hazrath Hameed Uddin Sharfi Sahab (Saifi)
Sab Jahanon Me Nabi -E- Paak Ka Faizan Hai
Kun Ke Che Din Aur Sab Takhleeq Ka Samaan Hai.
Rooh Phoonki Haq Ne Paikar Me Ujaale Aagaye
Dekhlije Kitna Marhoon -E- Karam Insaan Hai.
Zikre Haq Zikre Nabi Deta Hai Paighame Hayaat
Zikr Se Ghafil Agar Hai Koi To Be Jaan Hai.
Shehre Taiba Me Hai Barish Noor Ki Dekhein Jidhar
Ek Ek Goshe Me Har Dam Rehmate Rahman Hai.
Jab Se Ahle Haq Ko Dekha Ya Sadaye Haq Suni
Ahle Zulmath Ahle baatil Me Bada Hijaan Hai.
Baadshaahi Aapki Yoon Bhi Samajhme Aayegi
Jo Gada Hai Aapka Apni Jagah Sultan Hai.
Bistare Aqdas Pe Sote Hain Ali Ye Sonchkar
Mai Fidaayi Hoon Nabi Ka Haq Mera Nigraan Hai.
Chaar Hon Ya Paanch Hon Wo Sab Jude Hain Aapse
Aap Jaan Hain Chaar Ki Aur Panjatan Ki Shaan Hai.
Dil Madine Me Hi Lagta Hai Kahin Lagta Nahi
Saifi Taiba Se Teri Nisbath Teri Pechchan Hai.