Khayaalan Saare Atar Me Duba Ko Laayaun Mai
Khayaalan Saare Atar Me Duba Ko Laayaun Mai
Kalaam of Akheel Ahmed Akheel
Khayaalan Saare Atar Me Duba Ko Laayaun Mai
Nabi ki Naat Ku Phoolaan Pina Ko Laayaun Mai.
Tumhari Naat Ku Likhne Ke Waaste Aaqa
Qalam Dawaat Ku Paani Nihlaa Ko Laayaun Mai.
Mai Jinki Baat Una Ku Sunauga Jitku
Meri Zubaan Ku Sandal Laga Ko Laayaun Mai.
Nabi Ki Naat Mai Gaa Ku Tumhe Sunane Ku
Meri Awaaz Ku Jam Jam Pila Ko Laayaun Mai.
Tadap Tadap Ku Jo Ronaich Laggayi Ankhiyan
To Unko Raujza Nabi Ka Dikha Ko Laayaun Mai.
Hujoor Apne Hi Paawan Me Ab Sulaliyo Tum
Ke Wainch Gadne Ka Armaan Saja Ko Laayaun Mai.
Nakeeron Tum Meri Ankhiyon Ku Khol Ko Dekho
Una Ka Rauja Najar Me Chupa Ko Laayaun Mai.
Darogha Bhejde Jannat Me Khol Ko Phantak
Bade Rasool Se Baqshish Likha Ko Laayaun Mai.
Mai Aaya Taiba Se Waapas To Minje Aisa Laga
Mai Laasha Haathon Po Apna Utha Ko Laayaun Mai.
Tumich Akheel Ke Paapon Ku Punyi Me Badlo
Ye Sar Po Paapon Ka Gampa Utha Ko Laayaun Mai.