Hamko Rasoole Paak Diya So Wo Allah

Hamko Rasoole Paak Diya So Wo Allah

Kalaam of Rafiuddin Sharfi Sahab

Hamko Rasoole Paak Diya So Wo Allah Kaisa Honga
Toor Jalaa Ko Aankh Diya So Wo Allah Kaisa Honga.

Jannat Ko Shadaab Rakha Hai Teri Shaan Niraali Hai
Dozakh Haibatnaak Diya So Wo Allah Kaisa Honga.

Patthar Ke Andar Rakha So Sirf Usi Ko Hai Malum
Keede Ko Khauraak Diya So Wo Allah Kaisa Honga.

Mere Nabi Ka Jo Maskan Hai Wo To Arsh Se Badhkar Hai
Dharti Ko Ek Falak Diya So Wo Allah Kaisa Honga.

Pet Me Machli Ke Younus Hai Aur Safar Wo Karti Hai
Aisa Mehel Tairaak Diya So Wo Allah Kaisa Honga.

Chaahe Koi Kuch Bhi Bole Haq Hi Unka Shewa Hai
Ham Ko Ali Bebaak Diya So Wo Allah Kaisa Honga.

Titli Jhadaan Phoolan Paudhe Saare Rang Birange Hain
Laal Hari Poshaak Diya So Wo Allah Kaisa Honga.

Ek Ko Langda Macchar Kaata Doosra Dariya Me Dooba
Firaunon Ko Shaak Diya So Wo Allah Kaisa Honga.

Aakhri Hajj Me Saare Aaye Jitne Bhi Momin The Rafi
Ek Ko Sawwa Laakh Diya So Wo Allah Kaisa Honga.

Birbaboti Haath Lagane To Paawan Ban Karleti Rafi
Usko Ye Idraak Diya So Wo Allah Kaisa Honga.

More from Dehkhani Kalaam

More kalaam of Rafiuddin Sharfi Sahab

  • Dar Po Sarkar Ke Jaarain
  • Khayaalan Saare Atar Me Duba Ko Laayaun Mai
  • Ye Saans Unke Gun Gungunaaye To Bas Hai
  • Aasman Po Dhanak Diya So Wo Allah