Dar Po Sarkar Ke Jaarain

Dar Po Sarkar Ke Jaarain

Kalaam of Behosh Mehboob Nagri Sahab

Dar Po Sarkar Ke Jaarain
Aashaqan Dhoom Macharain.
Raste Po Ankhiyan Bicharain
Aashaqan Dhoom Macharain

Ishq Ka Bhed Batarain
Aashaqan Dhoom Macharain
Apni Hasti Ko Mitarain
Aashaqan Dhoom Macharain.

Unke Aashaq Ki Nashani
Mu Po Aansu Ki Rawani
Auliya Milne Ko Aarain
Aashaqan Dhoom Macharain.

Dhajjiyan Unka Gireban
Sar Ke Baalan Hain Pareshan
Ishq Ki Joth Jagarain
Aashaqan Dhoom Macharain.

Hauze Kausar Po Hain Aaqa
Taara Qismat Ka Bhi Chamkya
Jaam Po Jaam Udarain
Aashaqan Dhoom Macharain.

Hare Gumbad Ka Najara
Kar Ko Sab Ne Ye Pukara
Aaqa Ko Dekhne Aarain
Aashaqan Dhoom Macharain.

Raste Po Ishq Ke Niklain
Apne Mahboob Se Milgain
Zaahidan Tadpadiyan Kharain
Aashaqan Dhoom Macharain.

Apne Maipan Ko Wo Satko
Unke Paawan Se Lipatko
Arshe Aazam Ko Halarain
Aashaqan Dhoom Macharain.

Pee Ko Hai Baada -E- Ulfath
Haq Ko Bhi Unki Hai Chahat
Haq Ke Mehboob Ko Chahrain
Aashaqan Dhoom Macharain.

Bhargaya Rauje Ka Zeena
Dang Hai Saara Madina
Deed Ki Eid l
Aashaqan Dhoom Macharain.

Jashne Milad Manarain
Sunniyan Dhoom Macharain
Shaitanan Rorain Ballarain
Aashaqan Dhoom Macharain.

Naachrain Saare Diwane
Sun Ko Aaqa Ke Tarane
Naat Behosh Sunarain
Aashaqan Dhoom Macharain.

More from Dehkhani Kalaam

More kalaam of Behosh Mehboob Nagri Sahab

  • Khayaalan Saare Atar Me Duba Ko Laayaun Mai
  • Ye Saans Unke Gun Gungunaaye To Bas Hai