Loh Bhi Tu Qalam Bhi Tu Tera Wajood Al Kitaab
Loh Bhi Tu Qalam Bhi Tu Tera Wajood Al Kitaab
Kalaam of Allama Iqbal
Loh Bhi Tu Qalam Bhi Tu Tera Wajood Al Kitaab
Gumbade Aabgeena Rang Tere Muheet Me Khubaab.
Aalame Aab -O- Khaak Me Tere Wajood Se Farogh
Zarra -E- Regh Ko Diya Tu Ne Tuloo -E- Aaftab.
Shoukat -E- Sanjar -O- Saleem Tere Jamaal Ki Namood
Fakhre Junaid -O- Bayazeed Tera Jamaal -E- Be Naqaab.
Shouq Tera Agar Na Ho Meri Namaz Ka Imaam
Mera Qiyaam Bhi Hijaab Mera Sujood Bhi Hijaab.
Teri Nigaahe Naaz Se Dono Muraad Paa Gaye
Aqle Ghayaab -O- Justju, Ishqe Huzoor -O- Iztiraab.