Dard Minnat Kashe Dawa Na Hua

Dard Minnat Kashe Dawa Na Hua

Kalaam of Mirza Ghalib

Dard Minnat Kashe Dawa Na Hua
Mai Na Accha Hua Bura Na Hua.

Jama Karte Ho Kyun Raqeebon Ko
Ek Tamasha Hua Gila Na Hua.

Ham Kahan Qismat Aazmane Jayen
Tu Hi Jab Khanjar Aazma Na Hua.

Kitne Shireen Hain Tere Lab Ke Raqeeb
Galiyan Khaake Be Maza Na Hua.

Hai Qabar Garm Unke Aane Ki
Aaj Hi Ghar Me Boriya Na Hua.

Kya Wo Namrood Ki Khudayi Thi
Bandagi Me Mera Bhala Na Hua.

Jaan Di Dee Hui Usi Ki Thi
Haq To Yoon Hai Ke Haq Adaa Na Hua.

Zakhm Gar Dab Gaya Lahu Na Thama
Kaam Gar Ruk Gaya Rawa Na Hua.

Rahzani Hai Ke Dil Sitaani Hai
Leke Dil Dil Sitaan Rawa Na Hua.

Kuch To Padhiye Ke Log Kehte Hain
Aaj Ghalib Ghazal Sara Na Hua.