Fazle Rabbe Paak Se Beta Mera Dulha Bana

Fazle Rabbe Paak Se Beta Mera Dulha Bana

Fazle Rabbe Paak Se Beta Mera Dulha Bana
Khush Numa Khush Rang Phoolon Ka Hai Sar Sehra Saja.

Inko Khushiyan Do Jahan Me Tu Ata Kar Kibriya
Inpe Ranjo Gham Ki Na Chaye Kabhi Kaali Ghata.

Zauja Inki Ya Khuda Karti Rahe Parda Sada
Rakh Ilahi Inki Zauja Ko Hamesha Ba Haya.

Tu Sada Rakhna Salamath Inka Joda Ya Khuda
Koi Bhi Jhagda Na Ho Aapas Me Aye Rabbul Ulaa.

Pyare Pyare Ho Madine Ke Inhe Munne Ataa
Wasta Ya Rab Madine Ki Mubarak Khaak Ka.

Iss Tarah Mehka Kare Ye Ghar Ka Ghar Sab Ya Khuda
Phool Jaisa Ke Mehekte Hain Madine Ke Sada.

Aafate Fashion Se Har Dam Inko Tu Maula Bacha
Ya Ilahi Inka Ghar Gehwaraye Sunnat Bana.

Ya Ilaahi De Sa'adath Hajj Ki Inko Baar Baar
Baar Baar Inko Dikha Pyare Muhammad Ka Dayaar.

Dulha Dulhan Aafiyath Se Umar Bitayen Daraaz
Do Jahan Ki Neimathon Se Bhi Inhe Maula Nawaaz.

Ye Miyan Biwi Rahen Jannat Me Yakja Aye Khuda
Ya Ilaahi Hai Yehi Attar Ke Dil Ki Dua.