Teri Shaan Sabse Juda Ghouse -E- Aazam
Teri Shaan Sabse Juda Ghouse -E- Aazam
Kalaam of Syed Naseer Uddin Naseer Sahab
Teri Shaan Sabse Juda Ghouse -E- Aazam
Na Pohonche Tujhe Auliya Ghouse -E- Aazam.
Jamaale Rasoole Khuda Ghouse -E- Aazam
Jalaale Ali Murtaza Ghouse -E- Aazam.
Mizaaje Hussain Ibne Zahra Ke Waaris
Shabeehe Hasan Mujtaba Ghouse -E- Aazam.
Ijaabath Badhe Peshwayi Ko Aage
Uthayein Jo Daste Dua Ghouse -E- Aazam.
Na Kyun Hal Hon Mushkil Se Mushkil Masaail
Ke Hain Ibne Mushkil Kusha Ghouse -E- Aazam.
Rasoolon Ke Andaaz Nabiyon Ke Tewar
Wadiath Hue Tujhko Ya Ghouse -E- Aazam.
Zamane Ka Har Peer Zere Qadam Hai
Hain Aise Jagat Peshwa Ghouse -E- Aazam.
Pohonchti Hai Phir Kaise Nusrath Khuda Ki
Zara Kehke To Dekh Ghouse -E- Aazam.
Nahi Hai Koi Aur Saare Jahan Me
Mera Peer Tere Siwa Ghouse -E- Aazam.
Zara Jalwaye Mustafa Mai Bhi Dekhun
Zara Surath Apni Dikha Ghouse -E- Aazam.
Tera Daur Afsos Paaya Na Maine
Kabhi Khwab Hi Me To Aa Ghouse -E- Aazam.
Na Uth'te Hain Khaali Na Uthenge Khaali
Tere Dar Se Tere Gada Ghouse -E- Aazam.
Inayath Se Bhardijiye Meri Jholi
Karam Kijiye Aaj Ya Ghouse -E- Aazam.
Masaib Ke Toofan Se Takra Raha Hoon
Mai Lekar Tera Aasra Ghouse -E- Aazam.
Hua Hai Na Hoga Na Hai Iss Jahan Me
Koi Aur Tere Siwa Ghouse -E- Aazam.
Kuja Yak Gada -O- Kuja Shaahe Jeelan
Kuja Yak Faqeer -O- Kuja Ghouse -E- Aazam.
Sunaun Na Kyun Unko Afsaana -E- Dil
Ke Hain Mere Dard Aashna Ghouse -E- Aazam.
Agar Inse Lo Darse Tauheed Tum Bhi
To Kardein Tumhein Kya Se Kya Ghouse -E- Aazam.
Durusti Aqaaid Ke Karlo Yahan Par
Ke Haim Qiblaye Haq Numa Ghouse -E- Aazam.
Naseer Aaj Aaya Hai Bankar Sawaali
Isse Bhi Mile Bheek Ya Ghouse -E- Aazam.