Allahu Jalla Jalalahu
Allahu Jalla Jalalahu
Teri Shaan Amma Nawaaluhu
Allah Hoo Jalla Jalalahu. (x2)
Tere Naam Par Aye Mere Khuda
Mera Dil Fida Meri Jaan Fida
Meri Rooh Ki Hai Yehi Ghiza
Tera Naam Lab Pe Rahe Sada
Ho Teri Raza Meri Aabru
Allah Hoo Jalla Jalalahu.
Jo Hisaab Rauze Hisaab Ho
Mere Dayein Haath Kitaab Ho
Mere Lab Pe Naate Rasool Ho
Ya Khuda Dua Ye Khubool Ho
Mai Rahun Huzoor Ke Rubaru
Allah Hoo Jalla Jalalahu.
Mai Gunahgaar Hoon Aye Khuda
Koi Nek Kaam Na Karsaka
Ke Na Hosaka Tera Haq Adaa
Tera Badlo Fazl Hai Bebaha
Mujhe Rakhna Hashr Me Surkhuru
Allah Hoo Jalla Jalalahu.
Tera Jalwa Dono Jahan Me Hai
Tera Noor Kauno Makaan Me Hai
Hai Yahan Bhi Tu Hai Wahan Bhi Tu
Allah Hoo Jalla Jalalahu.
Tere Hukm Se Jo Hawa Chali
To Chatak Ke Boli Kali Kali
Hai Kareem Tu Hai Raheem Tu
Allah Hoo Jalla Jalalahu.