Apne Maalik Ka Mai Naam Lekar

Apne Maalik Ka Mai Naam Lekar

Apne Maalik Ka Mai Naam Lekar
Bazm Ki Ibteda Karraha Hoon
Ya Khuda Aabru Rakh Meri Tu
Teri Hamdo Sana Karraha Hoon.

Tu Jo Chahe To Banjaye Qismath
Mere Sajdon Ki Kya Hai Haqiqath
Teri Chaukhat Pe Sar Ko Jhuka Kar
Farz Apna Ada Karraha Hoon

Mai Ne Duniya Ka Dekha Nazara
Al Madad Kehke Maine Pukaara
Mujhko Apni Panahon Me Rakhna
Bas Yehi Ilteja Karraha Hoon.

Aaj Mehfil Me Baithe Hai Jitne
Sab Ke Dil Ki Tamanna Ho Poori
Sab Ko Haaji Banade Tu Maula
Mai Tadap Kar Dua Karraha Hoon.

Apne Mehboob Ka Dar Dikhade
Mera Soya Muqaddar Jagade
Lutf Duniya Ka Le Aaj Se Mai
Apne Dil Se Juda Karraha Hoon.