Zahida Zuhd Khushk Me Sonche Hain Kya Jo Ho So Ho

Zahida Zuhd Khushk Me Sonche Hain Kya Jo Ho So Ho

Kalaam of Hazrath Shah Khamosh R.a

Zahida Zuhd Khushk Me Sonche Hain Kya Jo Ho So Ho
Aashiqe Chashme Tar Hi Me Aansu Baha Jo Ho So Ho.

Aql –O- Haya Ke Parde Ko Rukh Se Utha Jo Ho So Ho
Kooncha –E- Yaar Me To Aa Bhala Bura Jo Ho So Ho.

Ishqe Haqiqi Asl Hai Ishqe Majaazi Naql Hai
Donon Taraf Se Koi Taraf Dil Ko Laga Jo Ho So Ho.

Dil Hai Tera Khuda Ka Ghar Kar Le Safa Tawaaf Kar
Kaabe Ko Hajj Ke Waaste Jaa Ya Na Jaa Jo Ho So Ho.

Laila Na Kyun Mile Tujhe Majnun Sa Khwaar Zaar Ban
Phirta Rahun To Dasht Me Aabla Paa Jo Ho So Ho.

Dar Pe Ho Tere Aa Khada Kya Kahun Bas Khamosh Hoon
Shaah Bana Gada Bana Teri Raza Jo Ho So Ho.

More from Hyderabadi Kalaam

More kalaam of Hazrath Shah Khamosh R.a

  • Aap Kaunain Ki Hain Jaan Rasoole Arabi
  • Aayina -E- Haq Rooe Munawwar
  • Agar Che Mehr -O- Maah Se Raat Din Hai Raabta Apna
  • Agar Ham Bhi Madine Me Pale Hote
  • Ahwal Unko Roke Sunane Ki Der Hai
  • Ali Mushkil Kusha Ka Naam Japna Meri Aadat Hai