Wohi Rab Hai Jisne Tujhko
Wohi Rab Hai Jisne Tujhko
Allah Allah Hoo Allah Hoo
Allah Allah Hoo Allah Hoo. (x6)
Wohi Rab Hai Jisne Tujhko
Hama Tan Karam Banaya
Hame Bheek Maangne Ko
Tera Aastan Bataya
Tujhe Hamd Khudaya.
Tumhi Haakim -E- Baraya
Tumhi Qasim -E- Ataaya
Tumhi Shafa -E- Khataya
Tumhi Dafa -E- Balaya
Koi Tum Sa Kaun Aaya.
Wo Kunwaari Paak Mariyam
Wo Nafaqtu Feehi Ka Dam
Hai Ajab Nishane Aazam
Magar Aamena Ka Jaaya
Wohi Sab Se Afzal Aaya.
Yehi Bole Sidrah Waale
Chamane Jahan Ke Thaale
Sab Hi Maine Chaan Daale
Tere Paaye Ka Na Paaya
Tujhe Yak Ne Yak Banaya.
Are Aye Khuda Ke Bandon
Koi Mere Dil Ko Dhoondo
Mere Paas Tha Abhi To
Abhi Kya Hua Khudaya
Na Koi Gaya Na Aaya.
Hame Aye Raza Tere Dil
Ka Pata Chala Ba Mushkil
Dare Rauza Ke Muqabil
Wo Hame Nazar To Aaya
Ye Na Pooch Kaisa Paaya.