Ghulamon Ko Madine Me Bulana Ya Rasoolallah

Ghulamon Ko Madine Me Bulana Ya Rasoolallah

Kalaam of Ameen

Ghulamon Ko Madine Me Bulana Ya Rasoolallah
Muqaddas Rauzaye Waala Dikhana Ya Rasoolallah.

Har Ek Mushkil Wo Aafath Se Bachana Ya Rasoolallah
Tumhara Ho Mere Dil Me Thikana Ya Rasoolallah.

Tumhi Se Maangta Hoon Mai Ke Mere Muddua Tum Ho
Ye Deewane Ko Bas Apna Banana Ya Rasoolallah.

Mere Dil Me Basi Duniya -E- Faani Ki Muhabbath Hai
Chura Kar Isse Lau Apni Lagana Ya Rasoolallah.

Munawwar Dil Ko Aur Seene Ko Kardo Noore Irfaan Se
Dikhana Jald Ab Jalwa Dikhana Ya Rasoolallah.

Basad Aadaab Hai Ye Aapse Maaroza -E- Qaadim
Ba Waqte Naz'a Aap Aana Khudara Ya Rasoolallah.

Ameen Ab Haq Se Waasil Aur Maqaame Qurb Ho Haasil
Ek Aisa Saaghar -E- Wehdath Pilaana Ya Rasoolallah.